Baalidagi-e-zarf Pe Dikhlae Gae Log

baalidagi-e-zarf pe dikhlae gae log

har gam pe gum-nam hai miTwae gae log

is farsh-e-tilismi ko ata kar di faraghat

yun tasht-e-farebi mein hi bikhrae gae log

qismat ki lakiron mein jinhen bandh ke rakkha

aazadi ki masnad pe bhi biThlae gae log

har roz naya ek tamasha hua jari

aaraish-e-duniya mein jo uljhae gae log

pechidgi-e-fikr mein kya KHub phansaya

ehsas ke shanon se hi suljhae gae log

duniya mein darindon ko baDe faKHr se bheja

har zulm pe phir sabr se samjhae gae log

ek KHauf tha us ja-e-pareshan ki faza mein

be-KHauf jo kuchh nikle wo dhamkae gae log

be-KHaufi se jab KHauf baDha ahl-e-jahan ka

maqtul hue KHak mein dafnae gae log

haq chup hi rahe lab na khulen sar na uThae

is waste be-maut bhi marwae gae log

nairangi-e-kirdar pe hairan hain 'asra'

sau pahlu se ek bazm mein milwae gae log

(993) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baalidagi-e-zarf Pe Dikhlae Gae Log In English By Famous Poet Asra Rizvi. Baalidagi-e-zarf Pe Dikhlae Gae Log is written by Asra Rizvi. Read famous Poem Baalidagi-e-zarf Pe Dikhlae Gae Log for youth and Student by Asra Rizvi. Free Download Baalidagi-e-zarf Pe Dikhlae Gae Log in PDF.