Aisa Ye Dard Hai Ki Bhulaya Na Jaega

aisa ye dard hai ki bhulaya na jaega

mear-e-ishq un se baDhaya na jaega

is bar un se kah do qadam soch kar rakhen

ujDa jo phir ye shahr basaya na jaega

jo log bughz dil mein chhupae hain aaj bhi

un se mere makan mein aaya na jaega

haq baat bolne se kiya jis kisi ne KHauf

mahfil mein phir kabhi bhi bulaya na jaega

the muttafiq to baat se meri sabhi magar

shewa mera KHayal banaya na jaega

shayad isi liye nahin aae wo mere pas

jo aa gae to chhoD ke jaya na jaega

gar ehtiram kar na sake bazm-e-naz ka

sharmindagi se sar ko uThaya na jaega

zahr-ab mere waste wo le to aaega

saqi se jam hum ko pilaya na jaega

'asra' bana lo shauq ko apne junun ki aag

ek bar bujh gai to jalaya na jaega

(1433) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisa Ye Dard Hai Ki Bhulaya Na Jaega In English By Famous Poet Asra Rizvi. Aisa Ye Dard Hai Ki Bhulaya Na Jaega is written by Asra Rizvi. Read famous Poem Aisa Ye Dard Hai Ki Bhulaya Na Jaega for youth and Student by Asra Rizvi. Free Download Aisa Ye Dard Hai Ki Bhulaya Na Jaega in PDF.