Raat Phir KHwab Mein Aane Ka Irada Kar Ke

raat phir KHwab mein aane ka irada kar ke

chand Duba hai abhi mahw-e-nazara kar ke

tishnagi had se guzar jaegi sahil ke qarib

faeda kya hai samundar ka taqaza kar ke

hairati hun abhi TuTa hai bharam ulfat ka

de gaya mat wo phir mujh ko bahana kar ke

karta rahta tha mazahan wo bahut si baaten

ab raqam karte rahe us ko fasana kar ke

mat chhal shah to faqat khel hai ek is ke liye

rakh diya meri mohabbat ko tamasha kar ke

chhoD jaane ko wo kahta tha pa malum na tha

yun chala jaega dam-bhar mein paraya kar ke

aaKHir 'asra' teri fitrat mein ye ujlat kyun hai

dekh le ranj abhi aur gawara kar ke

(1975) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Phir KHwab Mein Aane Ka Irada Kar Ke In English By Famous Poet Asra Rizvi. Raat Phir KHwab Mein Aane Ka Irada Kar Ke is written by Asra Rizvi. Read famous Poem Raat Phir KHwab Mein Aane Ka Irada Kar Ke for youth and Student by Asra Rizvi. Free Download Raat Phir KHwab Mein Aane Ka Irada Kar Ke in PDF.