Ye Aag Mohabbat Ki Bujhae Na Bujhe Hai

ye aag mohabbat ki bujhae na bujhe hai

bujh jae jo ek bar jalae na jale hai

TuTa jo bharam rishton mein ehsas-o-wafa ka

sau tarah nibhao to nibhae na nibhe hai

KHwabon ka mahal yun hi banaya na karo tum

tamir jo ho jae girae na gire hai

dahliz pe dil ki jo qadam rakkhe hai koi

Tik jae hai aise ke hilae na hile hai

hai bagh-e-mohabbat mein wafa ka jo hasin gul

murjha jo gaya phir to khilae na khile hai

dil chiz hai aisi ki ujaD jae jo ek bar

phir lakh basao to basae na base hai

kyun naqsh liye chashm-e-tasawwur mein phiro ho

ho jae ye gahra to miTae na miTe hai

koshish to bahut ki hai ki dhul jae har ek aks

ek shakl hai aisi ki bahae na bahe hai

dekh aai hain shayad kahin mahbub ko apne

aankhon ki chamak aaj chhupae na chhupe hai

baaton man jo kar jae hai iqrar-e-mohabbat

phir baat koi us se banae na bane hai

har-gam qadam apna sambhaale rakho 'asra'

daman pe laga dagh chhuDae na chhuTe hai

(1640) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Aag Mohabbat Ki Bujhae Na Bujhe Hai In English By Famous Poet Asra Rizvi. Ye Aag Mohabbat Ki Bujhae Na Bujhe Hai is written by Asra Rizvi. Read famous Poem Ye Aag Mohabbat Ki Bujhae Na Bujhe Hai for youth and Student by Asra Rizvi. Free Download Ye Aag Mohabbat Ki Bujhae Na Bujhe Hai in PDF.