Zindagi Uljhi Hai Bikhre Hue Gesu Ki Tarah

zindagi uljhi hai bikhre hue gesu ki tarah

gham piye jate hain umDe hue aansu ki tarah

aaj wahshat ka ye aalam hai ki har insan hai

dasht-e-tajrid ke bhage hue aahu ki tarah

zulm ka aag ugalta hua suraj sar par

tapish-e-dard se har sans hai ab lu ki tarah

hai gulistan mein teri gul-badani ka shohra

kash tu guzre idhar se kabhi KHushbu ki tarah

assi ummid pe aaina-e-dil dhote hain

munakis ho koi surat mere mah-ru ki tarah

shab-e-furqat mein bhi tanhai mayassar na hui

lakh gham ghere rahe mujh ko jafa-ju ki tarah

be-dili shart-e-mulaqat hai to yun hi sahi

hum tere shahr mein ab aaenge sadhu ki tarah

Dubne lagti hai jab rang ke sailab mein aankh

yaad tab us ki bacha leti hai jadu ki tarah

sarzanish bhi teri banti hai sahaara mera

rah-e-dushwar mein phaile hue bazu ki tarah

lazzat-e-dahr mein gum hota hai jab dil 'asra'

tab kasak uThta hai wo dard ke pahlu ki tarah

(1782) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Uljhi Hai Bikhre Hue Gesu Ki Tarah In English By Famous Poet Asra Rizvi. Zindagi Uljhi Hai Bikhre Hue Gesu Ki Tarah is written by Asra Rizvi. Read famous Poem Zindagi Uljhi Hai Bikhre Hue Gesu Ki Tarah for youth and Student by Asra Rizvi. Free Download Zindagi Uljhi Hai Bikhre Hue Gesu Ki Tarah in PDF.