Pardesi Ka KHat

hamari duri ke mausamon ko

ai jaan-e-jaanan nisab rakhna

main tum se milne ko aaunga jab

waraq waraq tum kitab rakhna

sabhi shikayat yaad kar ke

sazaon ka bhi hisab rakhna

KHalish hai jo bhi tumhaare dil mein

mere liye intisab rakhna

sawal jitne hon dil mein chubhte

unhen faraghat se puchh lena

meri mohabbat ka pas karna

mujhe mukammal jawab rakhna

uThana parde haqiqaton se

faqat na mahw-e-sarab rakhna

bichhaD ke tum se milan ki lazzat

thakan hamari sameT lena

firaq mein phir jo den sahaara

hamare hissa ye KHwab rakhna

na dur jaana na hijr dena

na mujh ko gharq-e-azab rakhna

hamare lafzon pe ghaur karna

bichhaD ke tum se na chain paya

KHamoshiyon ko na rah dena

na dil ko KHana-KHarab rakhna

rafaqaton ke bhanwar mein mujh ko

Dubo Dubo ke ubhaar dena

har ek lamha nawaz dena

na mujh se koi hijab rakhna

tumhaari furqat ke karb kaTe

main qatra qatra bikhar raha hun

tum apni chahat ko meri KHatir

ba-surat-e-injezab rakhna

jhulas chuke hain tamam jazbe

unhen mohabbat se sinch dena

zara si saKHti zara si narmi

misal-e-ab-o-turab rakhna

tumhaare jazbaat ki sadaqat

wajud par abr ban ke barse

nikhar sake zindagi ka mausam

mere liye ye sawab rakhna

(1346) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pardesi Ka KHat In English By Famous Poet Asra Rizvi. Pardesi Ka KHat is written by Asra Rizvi. Read famous Poem Pardesi Ka KHat for youth and Student by Asra Rizvi. Free Download Pardesi Ka KHat in PDF.