Suna Hai Chandni-raaton Mein Aksar Tum

KHamoshi se dabe panw

bhari mahfil se uThte ho

khule aakash ke niche kahin par baiTh jate ho

phir apna hath haule se baDhate ho

chamakte chand ki jaanib

kabhi to muskuraate ho kabhi kuchh gungunate ho

jo 'mir'-o-'dard' ki ghazlen kabhi hum ko sunate the

wahi sargoshiyan mujh se jo aksar karte rahte the

hawa ke dosh par baiThi kiran se karne lagte ho

suna hai be-qarari mein

Tahalte ho kabhi chhat par

kabhi har aks mein mera sarapa DhunDhte ho tum

hawaon mein meri KHushbu kabhi mahsus karte ho

kabhi be aas ho kar phir zamin par baiTh jate ho

bahut fariyaad karte ho

mujhe hi yaad karte ho

magar ye sari baaten to mahz KHwabon ki baaten hain

khuli jab aankh meri to nazara aur hi dekha

koi paigham aaya tha

hamare nam aaya tha

likha tha us mein dekho na

ki ab ki chand jo nikla

use nazdik se dekha

use mahsus kar paya

mukammal pa liya us ko jo shah-rag mein machalta tha

mubarakbaad to de do wo mera ho gaya ab ki

suna hai chandni-raaton mein tum bhi so nahin pati

tu ab ki chain se sona ki ab main bhi nahin jagta

(2182) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suna Hai Chandni-raaton Mein Aksar Tum In English By Famous Poet Asra Rizvi. Suna Hai Chandni-raaton Mein Aksar Tum is written by Asra Rizvi. Read famous Poem Suna Hai Chandni-raaton Mein Aksar Tum for youth and Student by Asra Rizvi. Free Download Suna Hai Chandni-raaton Mein Aksar Tum in PDF.