Fan Asl Mein Pinhan Hai Dil-e-zar Ke Andar

fan asl mein pinhan hai dil-e-zar ke andar

fankar hai ek aur bhi fankar ke andar

kanTon pe bichhata hai gulabon ka bichhauna

do rang hain ek sath mere yar ke andar

wo shor tha mahfil mein koi sun nahin paya

ek chiKH thi pazeb ki jhankar ke andar

tum sach ki zinat the mujhe dekhte kaise

main bhi tha nai subh ke aKHbar ke andar

'asrar' mujhe dil ne ye kal raat bataya

shoala hun bulandi ka main ek KHar ke andar

(647) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fan Asl Mein Pinhan Hai Dil-e-zar Ke Andar In English By Famous Poet Asrar Akbarabadi. Fan Asl Mein Pinhan Hai Dil-e-zar Ke Andar is written by Asrar Akbarabadi. Read famous Poem Fan Asl Mein Pinhan Hai Dil-e-zar Ke Andar for youth and Student by Asrar Akbarabadi. Free Download Fan Asl Mein Pinhan Hai Dil-e-zar Ke Andar in PDF.