Pahchan Zindagi Ki Samajh Kar Main Chup Raha

pahchan zindagi ki samajh kar main chup raha

apne hi phenkte rahe patthar main chup raha

lamhe andhere dasht mein pite rahe mujhe

mujh mein tha raushni ka samundar main chup raha

mere lahu ke rang ka aisa asar hua

munsif se bolta raha KHanjar main chup raha

bojhal udas raat thi KHamosh thi hawa

phulon ki aag mein jala bistar main chup raha

'asrar' kyun kisi se main karta shikayaten

wo aaKHiri tha rah ka patthar main chup raha

(708) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahchan Zindagi Ki Samajh Kar Main Chup Raha In English By Famous Poet Asrar Akbarabadi. Pahchan Zindagi Ki Samajh Kar Main Chup Raha is written by Asrar Akbarabadi. Read famous Poem Pahchan Zindagi Ki Samajh Kar Main Chup Raha for youth and Student by Asrar Akbarabadi. Free Download Pahchan Zindagi Ki Samajh Kar Main Chup Raha in PDF.