Shaitan Ka Farman

uTTho mere mahbub muridon ko jaga do

fankar ko iblis ka paigham suna do

jis mulk mein yaron ko mayassar na ho wine

us mulk ka har KHosha-e-angur jala do

garmao adibon ka lahu whiskey o rum se

shaer koi mil jae to Tharra hi pila do

leader jo nazar aae to bolo ye adab se

taqrir mein tum garmi-e-whiskey se jila do

paper ke editor se agar kaam ho lena

chup-chap se office mein beer us ko pila do

har bazm mein angur ki beTi ko bulao

mulla se andhere mein gale us ko laga do

shaer koi mahfil mein agar pi ke na aae

wo paDh na sake apni ghazal shor macha do

arbab-e-tadabbur jo hain aulad hamari

in ko mera har falsafa-e-zist sikha do

ehsas-e-hamiyyat na rahe dil mein kisi ke

petrol chhiDak kar his-e-ghairat ko jala do

us shaer-e-gustaKH ko 'asrar'-e-suKHan ko

is nazm ki taKHliq pe phansi ki saza do

(1131) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shaitan Ka Farman In English By Famous Poet Asrar Jaamayee. Shaitan Ka Farman is written by Asrar Jaamayee. Read famous Poem Shaitan Ka Farman for youth and Student by Asrar Jaamayee. Free Download Shaitan Ka Farman in PDF.