Jagte Hi Nazar AKHbar Mein Kho Jati Hai

jagte hi nazar aKHbar mein kho jati hai

zindagi dard ke ambar mein kho jati hai

na-KHuda aql ke patwar uThata hai ki jab

kashti-e-dil meri manjdhaar mein kho jati hai

be-sabab sochne wale kabhi socha tu ne

aagahi kasrat-e-afkar mein kho jati hai

uDte rahte hain KHayalat ke jugnu phir bhi

baat kyun parda-e-izhaar mein kho jati hai

us ke kaamon ka hai rangin KHushamad pe madar

aur mehnat meri isar mein kho jati hai

hurmat-e-parda zaruri hai 'ata-ji' warna

chiz jaisi bhi ho bazar mein kho jati hai

(807) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jagte Hi Nazar AKHbar Mein Kho Jati Hai In English By Famous Poet Ata Abidi. Jagte Hi Nazar AKHbar Mein Kho Jati Hai is written by Ata Abidi. Read famous Poem Jagte Hi Nazar AKHbar Mein Kho Jati Hai for youth and Student by Ata Abidi. Free Download Jagte Hi Nazar AKHbar Mein Kho Jati Hai in PDF.