Tamasha Zindagi Ka Roz O Shab Hai

tamasha zindagi ka roz o shab hai

hamari aankhon ko aaram kab hai

chamakti hai tamanna jugnuon si

andheri raat mein raunaq ajab hai

zarurat Dhal gai rishte mein warna

yahan koi kisi ka apna kab hai

kahin duniya kahan us ke taqaze

wo tera mai-kada ye mera lab hai

zaban hi tera sarmaya hai lekin

'ata' KHamosh ye ja-e-adab hai

(910) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamasha Zindagi Ka Roz O Shab Hai In English By Famous Poet Ata Abidi. Tamasha Zindagi Ka Roz O Shab Hai is written by Ata Abidi. Read famous Poem Tamasha Zindagi Ka Roz O Shab Hai for youth and Student by Ata Abidi. Free Download Tamasha Zindagi Ka Roz O Shab Hai in PDF.