Tirgi Shama Bani Rahguzar Mein Aai

tirgi shama bani rahguzar mein aai

saat ek aisi bhi kal apne safar mein aai

jis jagah chehra hi meyar-e-wafa Thahra hai

KHak hi KHak wahan dast-e-hunar mein aai

teri nazron mein thi duniya to yahi kya kam tha

hashr ye hai ki tu duniya ki nazar mein aai

bar-ha yaron ne sahil se kaha tha hum hain

bar-ha naw magar apni bhanwar mein aai

zindagi samjhun ise ya ki ise maut kahun

wo jo mehman ki surat mere ghar mein aai

yun bhi tariKH ki tariKH raqam hoti hai

nikli tariKH mahal se to khanDar mein aai

KHwab hi KHwab ki tabir hua to jaana

zindagi kyun kisi aankhon ke asar mein aai

shama jalte hi bujhi aur dhuan aisa uTha

lazzat-e-sham yahan KHwab-e-sahar mein aai

zindagi kuchh hai 'ata' sher-o-adab hai kuchh aur

ye do-rangi ki waba kaisi hunar mein aai

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tirgi Shama Bani Rahguzar Mein Aai In English By Famous Poet Ata Abidi. Tirgi Shama Bani Rahguzar Mein Aai is written by Ata Abidi. Read famous Poem Tirgi Shama Bani Rahguzar Mein Aai for youth and Student by Ata Abidi. Free Download Tirgi Shama Bani Rahguzar Mein Aai in PDF.