Hum Ko Aage Jaana Hai

apni manzil pana hai

hum ko aage jaana hai

rasta hai pur-KHar to kya

chalna hai dushwar to kya

aage hai diwar to kya

diwaron ko Dhana hai

hum ko aage jaana hai

apni manzil pana hai

ilm se allah aur nabi

ilm se apni ye hasti

ilm se din aur duniya bhi

din aur duniya pana hai

hum ko aage jaana hai

apni manzil pana hai

amn se hum hain aur tum bhi

amn hai raunaq duniya ki

amn se duniya hai baqi

duniya ko samjhana hai

hum ko aage jaana hai

apni manzil pana hai

dars hai ye har-chand adaq

kyun ho is ka hamein qalaq

mazi se ab le ke sabaq

mustaqbil chamkana hai

hum ko aage jaana hai

apni manzil pana hai

(974) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Ko Aage Jaana Hai In English By Famous Poet Ata Abidi. Hum Ko Aage Jaana Hai is written by Ata Abidi. Read famous Poem Hum Ko Aage Jaana Hai for youth and Student by Ata Abidi. Free Download Hum Ko Aage Jaana Hai in PDF.