Ek Ulul-azm Bachche Ka Ehsas
main haal ka muzhda hun
main raunaq-e-farda hun
bachpan ka zamana hai
KHushiyon ka tarana hai
meamar hun farda ka
imroz Thikana hai
aankhon ko hamesha main
sau KHwab dikhata hun
main haal ka muzhda hun
main raunaq-e-farda hun
paDh-likh ke baDa banna
maqsad bhi hai kawish bhi
insan ki KHidmat ka
jazba bhi hai KHwahish bhi
main nek azaem se
dil apna sajata hun
main haal ka muzhda hun
main raunaq-e-farda hun
man bap bahan bhai
ulfat hai mujhe sab se
ustad hon ya ahbab
nisbat hai mujhe sab se
KHidmat ke liye un ki
tayyar main rahta hun
main haal ka muzhda hun
main raunaq-e-farda hun
main raj-dulara hun
main phul se pyara hun
man bap ki aankhon ka
tabinda sitara hun
main un ki umidon ka
markaz hun mudawa hun
main haal ka muzhda hun
main raunaq-e-farda hun
ya-rab hai dua meri
neki ho ada meri
nadan hun aasi hun
tu baKHsh KHata meri
KHush mujh se zamana ho
ye aarzu rakhta hun
main haal ka muzhda hun
main raunaq-e-farda hun
(953) Peoples Rate This