Dhala Jo Din To Gaya Nur-e-aftab Bhi Sath

Dhala jo din to gaya nur-e-aftab bhi sath

shabab le gaya ranai-e-shabab bhi sath

wo sath tha to shab-e-zindagi charaghan thi

jilau mein rahte the anjum bhi mahtab bhi sath

hayat kya hai faqat mustaar-e-lamha-e-shauq

ye kah ke le gai mauj-e-hawa habab bhi sath

isi mein KHair hai nazren jhuki rahen warna

nazar uThegi to jal jaega naqab bhi sath

hamin se raunaq-e-hasti hai is KHarabe mein

jo hum miTe to miTegi ye aab-o-tab bhi sath

hayat dard ki tughyaniyon mein Dubi hai

gham-e-habib bhi hai zist ke azab bhi sath

KHuda-e-arsh-e-suKHan se hun faizyab 'kalim'

ki tur-e-sher se laya hun main kitab bhi sath

(604) Peoples Rate This

Ata Husain Kaleem's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Dhala Jo Din To Gaya Nur-e-aftab Bhi Sath In English By Famous Poet Ata Husain Kaleem. Dhala Jo Din To Gaya Nur-e-aftab Bhi Sath is written by Ata Husain Kaleem. Read famous Poem Dhala Jo Din To Gaya Nur-e-aftab Bhi Sath for youth and Student by Ata Husain Kaleem. Free Download Dhala Jo Din To Gaya Nur-e-aftab Bhi Sath in PDF.