Chob-e-sahra Bhi Wahan Rashk-e-samar Kahlae

chob-e-sahra bhi wahan rashk-e-samar kahlae

hum KHizan-baKHt shajar ho ke hajar kahlae

hum tah-e-KHak kiye jaan ka araq un ke liye

aur pas-e-rah-e-wafa gard-e-safar kahlae

un ki poron mein sitare bhi hain angare bhi

wo sadaf jism hue aatish-e-tar kahlae

apni rahon ka gulistan lage virana

un ki dahliz ki miTTi bhi guhar kahlae

jin ki KHairaat se lamhon ki lawen jagti hain

shab-nizhadon mein wahi dast-nigar kahlae

un ke katbe pe yahi waqt ne likkha hai ki wo

raushni banTte the tira-nazar kahlae

wo to diwaron mein chunta hai zamane ka zamir

hum hi kya sang-e-sar-e-rahguzar kahlae

'shad' be-sarfa gaya umr ka sarmaya-e-harf

hum ki the jaan-e-sada gung-e-hunar kahlae

(854) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chob-e-sahra Bhi Wahan Rashk-e-samar Kahlae In English By Famous Poet Ata Shad. Chob-e-sahra Bhi Wahan Rashk-e-samar Kahlae is written by Ata Shad. Read famous Poem Chob-e-sahra Bhi Wahan Rashk-e-samar Kahlae for youth and Student by Ata Shad. Free Download Chob-e-sahra Bhi Wahan Rashk-e-samar Kahlae in PDF.