Dilon Ke Dard Jaga KHwahishon Ke KHwab Saja

dilon ke dard jaga KHwahishon ke KHwab saja

bala-kashan-e-nazar ke liye sarab saja

mahak raha hai kisi ka badan sar-e-mahtab

mere KHayal ki Tahni pe kya gulab saja

koi kahin to sune tere arz-e-haal ka habs

hawa ki rehl pe aawaz ki kitab saja

wo kya talab thi tere jism ke ujale ki

main bujh gaya to mera KHana-e-KHarab saja

tamam shab tha tera hijr tera aaina-gar

tamam shab mere pahlu mein aaftab saja

na tu hai aur na main hun na wasl hai na firaq

saja sharab saja ja-ba-ja sharab saja

'ata' ye aankh dhanak manzilon ki chah mein thi

chhaTa jo abr ghani tirgi ka bab saja

(881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dilon Ke Dard Jaga KHwahishon Ke KHwab Saja In English By Famous Poet Ata Shad. Dilon Ke Dard Jaga KHwahishon Ke KHwab Saja is written by Ata Shad. Read famous Poem Dilon Ke Dard Jaga KHwahishon Ke KHwab Saja for youth and Student by Ata Shad. Free Download Dilon Ke Dard Jaga KHwahishon Ke KHwab Saja in PDF.