Gahri Hai Shab Ki Aanch Ki Zanjir-e-dar KaTe

gahri hai shab ki aanch ki zanjir-e-dar kaTe

tarikiyan baDhe to sahar ka safar kaTe

kitni shadid hai ye KHunuk surKHiyon ki sham

sulga hai wo sukut ki tar-e-nazar kaTe

saugand hai ki tark-e-talab ki saza mile

ruk jae gar qadam ki masafat to sar kaTe

kyun kusht-e-e'tibar bhi sarsar ki zad mein ho

kya intizar-e-KHulq se fasl-e-hunar kaTe

yun bhi to ho ki sar ke sabab ho shikast-e-sang

ye bhi to ho kabhi ki shajar se tabar kaTe

khil jaen raushni pe mere pattharon ke rang

us raat si pahaD ka sina magar kaTe

sadiyon safar hai 'shad' mujhe KHud mera wajud

dil se ghubar rah chhuTe rahguzar kaTe

(1025) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gahri Hai Shab Ki Aanch Ki Zanjir-e-dar KaTe In English By Famous Poet Ata Shad. Gahri Hai Shab Ki Aanch Ki Zanjir-e-dar KaTe is written by Ata Shad. Read famous Poem Gahri Hai Shab Ki Aanch Ki Zanjir-e-dar KaTe for youth and Student by Ata Shad. Free Download Gahri Hai Shab Ki Aanch Ki Zanjir-e-dar KaTe in PDF.