Kahin Jamal-paziri Ki Had Nahin Rakhta

kahin jamal-paziri ki had nahin rakhta

main baDh raha hun tasalsul se qad nahin rakhta

ye qabl o baad ke us par ki hikayat hai

mera dawam azal aur abad nahin rakhta

wo ek ho ke bhi hum se gina nahin jata

wo ek ho ke bhi aage adad nahin rakhta

ye umr bhar ki riyazat mera muqaddar hai

tarashta hun jise KHal-o-KHad nahin rakhta

wo ek suKHan hi hamari sanad na ban jae

wo ek suKHan jo tumhaari sanad nahin rakhta

'turab' kasa-e-dil pesh kar diya jae

suna hai koi saKHawat ki had nahin rakhta

(688) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Jamal-paziri Ki Had Nahin Rakhta In English By Famous Poet Ata Turab. Kahin Jamal-paziri Ki Had Nahin Rakhta is written by Ata Turab. Read famous Poem Kahin Jamal-paziri Ki Had Nahin Rakhta for youth and Student by Ata Turab. Free Download Kahin Jamal-paziri Ki Had Nahin Rakhta in PDF.