Wo Gard Hai Ki Waqt Se Ojhal To Main Bhi Hun

wo gard hai ki waqt se ojhal to main bhi hun

phir bhi ghubar jaisa koi pal to main bhi hun

KHwahish ki wahshaton ka ye jangal hai pur-KHatar

mujh se bhi ehtiyat ki jangal to main bhi hun

lagta nahin ki us se marasim bahaal hon

main kya karun ki thoDa sa pagal to main bhi hun

wo mere dil ke goshe mein maujud hai kahin

aur us ke dil mein thoDi si halchal to main bhi hun

nikle ho qatra qatra mohabbat talashne

dekho idhar ki pyar ki chhagal to main bhi hun

kaise ise nikalun main zindan-e-zat se

zindan-e-zat hi mein muqaffal to main bhi hun

mazi ke aaine mein 'ata' koi KHush-ada

shikwa-kunan tha kahta tha sanwal to main bhi hun

(856) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Gard Hai Ki Waqt Se Ojhal To Main Bhi Hun In English By Famous Poet Ata Ul Haq Qasmi. Wo Gard Hai Ki Waqt Se Ojhal To Main Bhi Hun is written by Ata Ul Haq Qasmi. Read famous Poem Wo Gard Hai Ki Waqt Se Ojhal To Main Bhi Hun for youth and Student by Ata Ul Haq Qasmi. Free Download Wo Gard Hai Ki Waqt Se Ojhal To Main Bhi Hun in PDF.