Wo Ek ShaKHs Ki Manzil Bhi Rasta Bhi Hai

wo ek shaKHs ki manzil bhi rasta bhi hai

wahi dua bhi wahi hasil-e-dua bhi hai

main us ki khoj mein nikla hun sath le ke use

wo husn mujh pe ayan bhi hai aur chhupa bhi hai

main dar-ba-dar tha magar bhul bhul jata tha

ki ek charagh dariche mein jagta bhi hai

khula hai dil ka daricha usi ki dastak par

jo mujh ko meri nigahon se dekhta bhi hai

ye meri sarhad-e-jaan mein qadam dhara kis ne

ki mahw-e-KHwab hun aankhon mein rat-jaga bhi hai

use wo bhulne lagta hai jo use bhule

'ata' ki dil-zada bhi aur sar-phira bhi hai

(1416) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Ek ShaKHs Ki Manzil Bhi Rasta Bhi Hai In English By Famous Poet Ata Ul Haq Qasmi. Wo Ek ShaKHs Ki Manzil Bhi Rasta Bhi Hai is written by Ata Ul Haq Qasmi. Read famous Poem Wo Ek ShaKHs Ki Manzil Bhi Rasta Bhi Hai for youth and Student by Ata Ul Haq Qasmi. Free Download Wo Ek ShaKHs Ki Manzil Bhi Rasta Bhi Hai in PDF.