Kise Dimagh Ki Uljhe Tilism-e-zat Ke Sath

kise dimagh ki uljhe tilism-e-zat ke sath

ulajh raha hun abhi teri kaenat ke sath

main did-ban azal se jidhar bhi dekhta tha

shikasta jam paDa hai ajaibaat ke sath

nikal gaya tha main ek roz KHak-dan ki taraf

guzar rahi hai shab o roz hadsat ke sath

main Dub Dub gaya be-nishan bhanwar mein kahin

KHala mein raqs-kunan ghumti praat ke sath

muhit-e-ab mein har sans Dolti nayya

gham-e-wajud juDa hai gham-e-hayat ke sath

wahi haram hai wahi but wahi pujari hain

wahi dilon ka talluq hai somnat ke sath

bikhar bikhar gaya ek mauj-e-raegan ki tarah

kisi ki jit ka nashsha kisi ki mat ke sath

KHizan ki shaal mein lipTe shajar pe parwane

numu ke git likhe rang-e-mumkinat ke sath

qadam qadam pe ulajhna wo be-sabab dil ka

hai ab to roz ka mamul panch sat ke sath

hazar talKH sahi phir bhi KHush-nawa hai bahut

kisi charagh ka lahja siyah raat ke sath

suna hai mausam-e-be-rangi-e-zaman yaksar

badal gaya hai teri chashm-e-iltifat ke sath

main ab bhi mazi ki galiyon mein ja nikalta hun

paDi hai TaT pe taKHti qalam dawat ke sath

bahut dinon wo raha hai isi khanDar mein muqim

so rakh diya hai ye dil bhi nawadiraat ke sath

ye bastiyon pe ajab wahshaton ka mausam hai

numu-pazir hua hai taghayyuraat ke sath

main kunj-e-zat se nikla to yun hua ki 'ata'

kuchh aur phail gaya gham bhi shash-jahat ke sath

(897) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kise Dimagh Ki Uljhe Tilism-e-zat Ke Sath In English By Famous Poet Ataurrahman Qazi. Kise Dimagh Ki Uljhe Tilism-e-zat Ke Sath is written by Ataurrahman Qazi. Read famous Poem Kise Dimagh Ki Uljhe Tilism-e-zat Ke Sath for youth and Student by Ataurrahman Qazi. Free Download Kise Dimagh Ki Uljhe Tilism-e-zat Ke Sath in PDF.