Jis Ki KHatir Maine Duniya Ki Taraf Dekha Na Tha

jis ki KHatir main ne duniya ki taraf dekha na tha

wo mujhe yun chhoD jaega kabhi socha na tha

us ke aansu hi batate the na ab lauTega wo

is se pahle to bichhaDte waqt yun rota na tha

rah gaya tanha main apne doston ki bhiD mein

aur hamdam wo bana jis se koi rishta na tha

qahqahon ki dhup mein baiThe the mere sath sab

aansuon ki barishon mein par koi bhiga na tha

ashk palkon pe bichhaD kar apni qimat kho gaya

ye sitara qimti tha jab talak TuTa na tha

marmarin gumbad pe rukti thi har ek pyasi nazar

par kasi ne maqbare mein gham chhupa dekha na tha

(774) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Ki KHatir Maine Duniya Ki Taraf Dekha Na Tha In English By Famous Poet Ateeq Anzar. Jis Ki KHatir Maine Duniya Ki Taraf Dekha Na Tha is written by Ateeq Anzar. Read famous Poem Jis Ki KHatir Maine Duniya Ki Taraf Dekha Na Tha for youth and Student by Ateeq Anzar. Free Download Jis Ki KHatir Maine Duniya Ki Taraf Dekha Na Tha in PDF.