Jism Ke Gharaunde Mein Aag Shor Karti Hai

jism ke gharaunde mein aag shor karti hai

dil mein jab mohabbat ki chandni utarti hai

sham ke dhundlakon mein Dubta hai yun suraj

jaise aarzu koi mere dil mein marti hai

din mein ek milti hai aur dusri shab mein

dhup jab bichhaDti hai chandni sanwarti hai

baghban ne roka ya le gaya use baadal

baat kya hui KHushbu itni der karti hai

gham ki band muTThi mein ret sa mera jiwan

jab zara kasi muTThi zindagi bikharti hai

ganw ke parind tum ko kya pata bideson mein

raat hum akelon ki kis tarah guzarti hai

dur mujh se rahte hain sare gham zamane ke

teri yaad ki KHushbu dil mein jab Thaharti hai

(973) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jism Ke Gharaunde Mein Aag Shor Karti Hai In English By Famous Poet Ateeq Anzar. Jism Ke Gharaunde Mein Aag Shor Karti Hai is written by Ateeq Anzar. Read famous Poem Jism Ke Gharaunde Mein Aag Shor Karti Hai for youth and Student by Ateeq Anzar. Free Download Jism Ke Gharaunde Mein Aag Shor Karti Hai in PDF.