Qarib Se Na Guzar Intizar Baqi Rakh

qarib se na guzar intizar baqi rakh

qarabaton ka magar e'tibar baqi rakh

bikharna hai to faza main bikher de KHushbu

haya nazar mein qadam mein waqar baqi rakh

hamein hamare hi KHwabon se kaun rokega

khencha hua hai jo KHatt-e-hisar baqi rakh

tera wajud ibarat hai KHush-adai se

kashida-qamati-e-KHush-gawar baqi rakh

KHizan se sulh barat kyunki wo to aaegi

phir ehtimam se fasl-e-bahaar baqi rakh

ye kaj-kulah nae waqt ke na Thahrenge

khinchi kaman mere shahryar baqi rakh

miTe miTe se nuqush-e-qadam hain kuchh baqi

ye KHushbuon mein basi rahguzar baqi rakh

ye sard-o-garm jo mahaul ke taqaze hain

ba-chashm-e-nam nafas-e-shoala-bar baqi rakh

takan hai to sambhal ja magar na ungh kabhi

safar ki dhul badan ka ghubar baqi rakh

ana bikher na hargiz bacha ke rakh KHud ko

har ek dar pe na daman pasar baqi rakh

ye nau-taraazi-e-mani bhi ek shai hai 'atiq'

riwayaton se bhi rishte sanwar baqi rakh

(870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qarib Se Na Guzar Intizar Baqi Rakh In English By Famous Poet Ateeq Asar. Qarib Se Na Guzar Intizar Baqi Rakh is written by Ateeq Asar. Read famous Poem Qarib Se Na Guzar Intizar Baqi Rakh for youth and Student by Ateeq Asar. Free Download Qarib Se Na Guzar Intizar Baqi Rakh in PDF.