Aasman Gardish Mein Tha Sari Zamin Chakkar Mein Thi

aasman gardish mein tha sari zamin chakkar mein thi

zalzale ke qahr ki taswir har manzar mein thi

aapsi Takraw ne aaKHir numayan kar diya

ek chingari jo barson se dabi patthar mein thi

main akela mar raha tha ghar mera sunsan tha

raunaq-e-KHana rafiq-e-zindagi daftar mein thi

kar diya tha bewgi ke karb ne garche niDhaal

jalti-bujhti aanch si ek barf ki chadar mein thi

ek hi fiqre ne sara jism chhalni kar diya

dhaar aisi tanziya alfaz ke KHanjar mein thi

KHud-numai kam-libasi sab ne mil kar chhin li

qatilana ek ada jo husn ke tewar mein thi

rok leti jo parinde ko qafas mein ai 'atiq'

aarzu aisi na koi bhi dil-e-muztar mein thi

(899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aasman Gardish Mein Tha Sari Zamin Chakkar Mein Thi In English By Famous Poet Ateeq Muzaffarpuri. Aasman Gardish Mein Tha Sari Zamin Chakkar Mein Thi is written by Ateeq Muzaffarpuri. Read famous Poem Aasman Gardish Mein Tha Sari Zamin Chakkar Mein Thi for youth and Student by Ateeq Muzaffarpuri. Free Download Aasman Gardish Mein Tha Sari Zamin Chakkar Mein Thi in PDF.