Alfaz Na De Paen Agar Sath Bayan Ka

alfaz na de paen agar sath bayan ka

aankhon se bhi le lete hain wo kaam zaban ka

qatil ki jabin par hain pasine ki lakiren

shayad ki asar hai ye meri aah-o-fughan ka

aangan hai na DewDhi na chameli ka wo manDwa

shahron ne badal Dala hai mafhum makan ka

aae ho to kuchh der Thahar jao yahan bhi

hum bhi to maza len zara rangin saman ka

ye soch ke wade pe yaqin hum ne kiya hai

kuchh pas to rakkhoge meri jaan zaban ka

is tarz-e-taKHatub se 'atiq' un ko laga hai

jaise ki kabhi tha hi nahin main to yahan ka

(711) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Alfaz Na De Paen Agar Sath Bayan Ka In English By Famous Poet Ateeq Muzaffarpuri. Alfaz Na De Paen Agar Sath Bayan Ka is written by Ateeq Muzaffarpuri. Read famous Poem Alfaz Na De Paen Agar Sath Bayan Ka for youth and Student by Ateeq Muzaffarpuri. Free Download Alfaz Na De Paen Agar Sath Bayan Ka in PDF.