KaTi Hai Umr Yahan Ek Ghar Banane Mein

kaTi hai umr yahan ek ghar banane mein

haya na aai tumhein bastiyan jalane mein

bana diya tha jahan ko KHuda ne kun kah kar

karoDon sal lage hain ise basane mein

fareb de ke tumhein kya sukun milta hai

hamein to lutf mila hai fareb khane mein

ata ho daulat-e-iman hamein bhi be-payan

kami nahin hai KHudaya tere KHazane mein

hawa ke madd-e-muqabil charagh rakh dena

mizaj-e-ishq raha hai ye har zamane mein

'atiq' ye hi dua hai ki rahti duniya tak

charag-e-ilm ho raushan gharib-KHane mein

(888) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KaTi Hai Umr Yahan Ek Ghar Banane Mein In English By Famous Poet Ateeq Muzaffarpuri. KaTi Hai Umr Yahan Ek Ghar Banane Mein is written by Ateeq Muzaffarpuri. Read famous Poem KaTi Hai Umr Yahan Ek Ghar Banane Mein for youth and Student by Ateeq Muzaffarpuri. Free Download KaTi Hai Umr Yahan Ek Ghar Banane Mein in PDF.