Jis Ko Dekho Wo Giraftar-e-bala Lagta Hai

jis ko dekho wo giraftar-e-bala lagta hai

shahar ka shahar hi aaseb-zada lagta hai

machhliyan sari samundar ki laraz uThti hain

koi tinka bhi agar tinke se ja lagta hai

KHud ko duniya se hunar-mand samajhne walo

ghar se niklo to haqiqat ka pata lagta hai

dosti pyar wafa sath nibhane ki qasam

har amal us ka banawaT se bhara lagta hai

ghar ke mahaul mein is darja taffun hai 'atiq'

sans lena bhi yahan ab to saza lagta hai

(804) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Ko Dekho Wo Giraftar-e-bala Lagta Hai In English By Famous Poet Ateeq Muzaffarpuri. Jis Ko Dekho Wo Giraftar-e-bala Lagta Hai is written by Ateeq Muzaffarpuri. Read famous Poem Jis Ko Dekho Wo Giraftar-e-bala Lagta Hai for youth and Student by Ateeq Muzaffarpuri. Free Download Jis Ko Dekho Wo Giraftar-e-bala Lagta Hai in PDF.