Koi Nahin Hamara Pursan-e-haal Ab Ke

koi nahin hamara pursan-e-haal ab ke

pahle se bhi shikasta aaya hai sal ab ke

himmat to aa gai thi dukh jhelne ki lekin

aaya hai gham hi chal ke ek aur chaal ab ke

ki hai bahut ibaadat furqat mein aansuon ne

yazdan tu kar le un ka kuchh to KHayal ab ke

baaton ki naghmagi sab aahon mein Dhal gai hai

phaila udasiyon ka kaisa ye jal ab ke

do laKHt ho gaya hai ye dil-e-zar apna

uTha jo duriyon ka phir se sawal ab ke

barg-o-samar se aari tanha shajar ho jaise

jiwan ki hai 'safi'-ji aisi misal ab ke

(668) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Nahin Hamara Pursan-e-haal Ab Ke In English By Famous Poet Ateequrrahman Safi. Koi Nahin Hamara Pursan-e-haal Ab Ke is written by Ateequrrahman Safi. Read famous Poem Koi Nahin Hamara Pursan-e-haal Ab Ke for youth and Student by Ateequrrahman Safi. Free Download Koi Nahin Hamara Pursan-e-haal Ab Ke in PDF.