Bharose Ka Qatl

mazhab ki talwar bana kar

KHwahishon ke andhe ghoDe par sawar

mere man aangan ko raund Dala

mere bharose ko suli par Tang kar

tum ne dusra byah racha liya

tumhaare sang guzare pal pal ko

main ne apne mas par khaal ki tarah mundh liya tha

tumhaare sath aanchal bandh kar

baba ka aangan par kar ke

tumhaare lae sanche mein

main ne paya tha apna wajud

pyar kya hai ye nahin jaanti

par tumhaare ghar ne baD ke peD si chhanw ki thi mujh par

bachaya tha zamane ke gunahon ke

tiron ki bauchhaD se

is sanche mein rahne ki KHatir

main apne wajud ko kaTti chhanTti tarashti rahi

tumhaare lahu ki bund ko apne mas mein janm diya

aulad bhi hum donon ka bandhan na ban saki

bandhan kya hai ye nahin jaanti

mujhe faqat ek sabaq paDhaya gaya tha

tumhaara ghar meri aaKHiri panah-gah hai

main ne kai bar dekha hai

zamane ki nigahon se sangsar hote

talaq-yafta aurat ko

is liye barish se Dari billi ki tarah

ghar ke ek kone aur tumhaare nam ke istimal par

qanaat kiye baiThi rahi

jannat kya hai jahannam kya hai ye nahin jaanti

magar itna yaqin hai

jannat bharose se baala-tar nahin

aur jahannam saut ke qahqahon se baDh kar giran nahin

tanon aur rahm bhari nazron se baDh kar mushkil

koi pul-siraat nahin

kabhi kabhi sot ka chehra mujhe apna jaisa lagta hai

us ki peshani par bhi

main ne be-e'tibari ki shiknen dekhi hain

jab wo mujhe dekhti hai

KHushi us ke sine mein

hathon mein dabae kabutar ki tarah phaD phaDa uThti hai

main un se laD nahin sakti

un mein tum shamil ho

main tum se laD nahin sakti

mazhab qanun aur samaj tumhaare sath hain

riten rasmen tumhaare hathiyar hain

dil chahta hai ki zindagi ki kitab se

wo bab hi phaD kar phenk dun

jo apne mafad mein tum ne

mere muqaddar mein likkha hai

(1156) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bharose Ka Qatl In English By Famous Poet Ateeya Daud. Bharose Ka Qatl is written by Ateeya Daud. Read famous Poem Bharose Ka Qatl for youth and Student by Ateeya Daud. Free Download Bharose Ka Qatl in PDF.