Tum Aur Main

mujhe gosht ki thaali samajh kar

chil ki tarah jhapTa marte ho

ise main pyar samjhun

itni bholi main nahin hun

mujh se tumhaara moh aisa hai

jaisa billi ka chhichhDe se

is ko main pyar samjhun

itni bholi main nahin hun

mere badan ko khilauna jaan kar

marzi ho to khelo marzi ho to toD Dalo

ise main pyar samjhun

itni bholi main nahin hun

main tumhaare show-case mein sajai guDiya

kitni bhi us ki tarif karo

ise main pyar samjhun

itni bholi nahin hun main

rasmon ki naika mujhe waishya banae

aur nachae tumhaari KHwahishon ke chakle mein

ise main pyar samjhun

itni bholi main nahin hun

(803) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Tum Aur Main In English By Famous Poet Ateeya Daud. Tum Aur Main is written by Ateeya Daud. Read famous Poem Tum Aur Main for youth and Student by Ateeya Daud. Free Download Tum Aur Main in PDF.