UDan Se Pahle

man rasmon-riwajon ke dhagon se bani

tartar oDhni mujh se wapas le le

tum hi un mein paiwand lagate lagate haar chuki ho

to mujh ko kyunkar pesh karogi

man darwaze ki ye kunDi

andar se band karne ka

tumhein hukm diya gaya hai khol de

warna mera qad itna uncha ho gaya hai

main ab us tak KHud pahunch sakti hun

man mujhe muaf kar dena

main tujhe chhoD ja rahi hun

kyunki main apni beTi ko tariki mein

Thokaren khate nahin dekh sakungi

man main kutiya to nahin jo ek niwale ki KHatir

bap bhai sasur shauhar aur beTe ka munh takti rahun

loTti rahun un ke qadmon mein

man ye niwala mujhe pesh na kar

jo tujh ko bhi KHairaat mein mila hai

abba ki wirasat ki chauthai

aur shauhar ke haqq-e-mahr ke ehsan ka

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

UDan Se Pahle In English By Famous Poet Ateeya Daud. UDan Se Pahle is written by Ateeya Daud. Read famous Poem UDan Se Pahle for youth and Student by Ateeya Daud. Free Download UDan Se Pahle in PDF.