Itne Din Ke Baad Tu Aaya Hai Aaj

itne din ke baad tu aaya hai aaj

sochta hun kis tarah tujh se milun

mere andar jag uThi ek chandni

main zamin se aasman tak ang hun

aur ujla ho gaya qurbat ka chand

aur gahra ho gaya tera fusun

ai sarapa rang-nikhat tu bata

kis dhanak se tera pairahan banun

sare gul-buTe tar-o-taza hue

dur tak pahunchi hai meri mauj-e-KHun

kar rahe hain lamhe lamhe ka hisab

mil ke phir baiThe hain yaran-e-junun

dasht-e-gham ki dhup mein mujh par khula

main KHud apna saya-e-diwar hun

naz kar KHud par ki tu hai be-shumar

qadr kar meri ki main bas ek hun

(820) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Itne Din Ke Baad Tu Aaya Hai Aaj In English By Famous Poet Athar Nafees. Itne Din Ke Baad Tu Aaya Hai Aaj is written by Athar Nafees. Read famous Poem Itne Din Ke Baad Tu Aaya Hai Aaj for youth and Student by Athar Nafees. Free Download Itne Din Ke Baad Tu Aaya Hai Aaj in PDF.