Phir Koi Naya ZaKHm Naya Dard Ata Ho

phir koi naya zaKHm naya dard ata ho

us dil ki KHabar le jo tujhe bhul chala ho

ab dil mein sar-e-sham charaghan nahin hota

shoala tere gham ka kahin bujhne na laga ho

kab ishq kiya kis se kiya jhuT hai yaro

bas bhul bhi jao jo kabhi hum se suna ho

darwaza khula hai ki koi lauT na jae

aur us ke liye jo kabhi aaya na gaya ho

shayad ki tere qurb se aa jae mayassar

wo dard ki jo dard-e-judai se siwa ho

ab meri ghazal ka bhi taqaza hai ye tujh se

andaz-o-ada ka koi uslub naya ho

(1029) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Koi Naya ZaKHm Naya Dard Ata Ho In English By Famous Poet Athar Nafees. Phir Koi Naya ZaKHm Naya Dard Ata Ho is written by Athar Nafees. Read famous Poem Phir Koi Naya ZaKHm Naya Dard Ata Ho for youth and Student by Athar Nafees. Free Download Phir Koi Naya ZaKHm Naya Dard Ata Ho in PDF.