Na Sham Hai Na Sawera Ajab Dayar Mein Hun
na sham hai na sawera ajab dayar mein hun
main ek arsa-e-be-rang ke hisar mein hun
sipah-e-ghair ne kab mujh ko zaKHm zaKHm kiya
main aap apni hi sanson ke kar-zar mein hun
kashan-kashan jise le jaenge sar-e-maqtal
mujhe KHabar hai ki main bhi usi qatar mein hun
sharaf mila hai kahan teri ham-rahi ka mujhe
tu shahsawar hai aur main tere ghubar mein hun
ata-pata kisi KHushbu se puchh lo mera
yahin kahin kisi manzar kisi bahaar mein hun
main KHushk peD nahin hun ki TuT kar gir jaun
numu-pazir hun aur sarw-e-shaKH-sar mein hun
na jaane kaun se mausam mein phul mahkenge
na jaane kab se teri chashm-e-intizar mein hun
hua hun qarya-e-jaan main kuchh is tarah pamal
ki sar-buland tere shahr-e-zar-nigar mein hun
(1030) Peoples Rate This