Na Manzil Hun Na Manzil-ashna Hun
na manzil hun na manzil-ashna hun
misal-e-barg uDta phir raha hun
meri aankhon ke KHushk-o-tar mein jhanko
kabhi sahra kabhi dariya-numa hun
wo aisa kaun hai jis se bichhaD kar
KHud apne shahr main tanha hua hun
chaman mera nahin phir bhi chaman mein
main tanha rang-o-nikhat aashna hun
na jaane kis liye hai naz mujh ko
na tujh sa hun na tujh se kuchh siwa hun
mere anfas ki tauqir karna
baDi mushkil se main zinda hua hun
jo meri ruh mein utra hua hai
main us se be-talluq bhi raha hun
main us ko DhunDhta phirta hun har su
jo mujh se kah sake main bewafa hun
batata kyun nahin koi ki ab main
kahan hun kis taraf ko ja raha hun
hawa-e-ku-e-jaanan multafit hai
so apne ranj kahne aa gaya hun
sula do ai hawao ab sula do
bahut raaton ka main jaga hua hun
(1136) Peoples Rate This