Misl-e-baad-e-saba Tere Kuche Mein Ai Jaan-e-jaan Aae Hain

misl-e-baad-e-saba tere kuche mein ai jaan-e-jaan aae hain

chand saat rahenge chale jaenge sar-garan aae hain

sham-e-azurdagi ke satae hue choT khae hue

mehrban ho ke mil hum bahut aaj na-shadman aae hain

ishq karna jo sikha to duniya baratne ka fan aa gaya

karobar-e-junun aa gaya hai to kar-e-jahan aae hain

zaKHm khulne lage phir ubharne lagin dil ki mahrumiyan

yaad phir tere andaz-e-dildari-e-jism-o-jaan aae hain

dastan-e-shab-e-hijr un ko sunane ka din ye nahin

mahfil-e-ishq mein aaj hi to wo kuchh mehrban aae hain

(1500) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Misl-e-baad-e-saba Tere Kuche Mein Ai Jaan-e-jaan Aae Hain In English By Famous Poet Athar Nafees. Misl-e-baad-e-saba Tere Kuche Mein Ai Jaan-e-jaan Aae Hain is written by Athar Nafees. Read famous Poem Misl-e-baad-e-saba Tere Kuche Mein Ai Jaan-e-jaan Aae Hain for youth and Student by Athar Nafees. Free Download Misl-e-baad-e-saba Tere Kuche Mein Ai Jaan-e-jaan Aae Hain in PDF.