Lamhon Ke Azab Sah Raha Hun

lamhon ke azab sah raha hun

main apne wajud ki saza hun

zaKHmon ke gulab khil rahe hain

KHushbu ke hujum mein khaDa hun

is dasht-e-talab mein ek main bhi

sadiyon ki thaki hui sada hun

is shahr-e-tarab ke shor-o-ghul mein

taswir-e-sukut ban gaya hun

benam-o-numud zindagi ka

ek bojh uThae phir raha hun

shayad na mile mujhe rihai

yaadon ka asir ho gaya hun

ek aisa chaman hai jis ki KHushbu

sanson mein basae phir raha hun

ek aisi gali hai jis ki KHatir

darmanda ku-ba-ku raha hun

ek aisi zamin hai jis ko chhu kar

taqdis-e-haram se aashna hun

ai mujh ko fareb dene wale

main tujh pe yaqin kar chuka hun

main tere qarib aate aate

kuchh aur bhi dur ho gaya hun

(1481) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lamhon Ke Azab Sah Raha Hun In English By Famous Poet Athar Nafees. Lamhon Ke Azab Sah Raha Hun is written by Athar Nafees. Read famous Poem Lamhon Ke Azab Sah Raha Hun for youth and Student by Athar Nafees. Free Download Lamhon Ke Azab Sah Raha Hun in PDF.