Sochte Aur Jagte Sanson Ka Ek Dariya Hun Main

sochte aur jagte sanson ka ek dariya hun main

apne gum-gashta kinaron ke liye bahta hun main

besh-qimat hun meri qimat laga sakta hai kaun

tere kuche mein bikun to phir bahut sasta hun main

KHwab jo dekhe the main ne wo bhi ab dhundla gae

ab to tum aa jao sahab ab bahut tanha hun main

jal gaya sara badan in mausamon ki aag mein

ek mausam ruh hai jis mein ki ab zinda hun main

mere honTon ka tabassum de gaya dhoka tujhe

tu ne mujh ko bagh jaana dekh le sahra hun main

main to yaro aap apni jaan ka dushman hua

zahr ban ke aap apni ruh mein utra hun main

dekhne meri pazirai ko ab aata hai kaun

lamha bhar ko waqt ki dahliz par aaya hun main

tu ne be-dekhe guzar kar mujh ko patthar kar diya

tu palaT kar dekh le to aaj bhi hira hun main

lafz gunge hain inhen goyai dene ke liye

zindagi ke sachche lamhon mein ghazal kahta hun main

(1303) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sochte Aur Jagte Sanson Ka Ek Dariya Hun Main In English By Famous Poet Athar Nafees. Sochte Aur Jagte Sanson Ka Ek Dariya Hun Main is written by Athar Nafees. Read famous Poem Sochte Aur Jagte Sanson Ka Ek Dariya Hun Main for youth and Student by Athar Nafees. Free Download Sochte Aur Jagte Sanson Ka Ek Dariya Hun Main in PDF.