Sukut-e-shab Se Ek Naghma Suna Hai

sukut-e-shab se ek naghma suna hai

wahi kanon mein ab tak gunjta hai

ghanimat hai ki apne gham-zadon ko

wo husn-e-KHud-nigar pahchanta hai

jise kho kar bahut maghmum hun main

suna hai us ka gham mujh se siwa hai

kuchh aise gham bhi hain jin se abhi tak

dil-e-gham-ashna na-ashna hai

bahut chhoTe hain mujh se mere dushman

jo mera dost hai mujh se baDa hai

mujhe har aan kuchh banna paDega

meri har sans meri ibtida hai

(3064) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sukut-e-shab Se Ek Naghma Suna Hai In English By Famous Poet Athar Nafees. Sukut-e-shab Se Ek Naghma Suna Hai is written by Athar Nafees. Read famous Poem Sukut-e-shab Se Ek Naghma Suna Hai for youth and Student by Athar Nafees. Free Download Sukut-e-shab Se Ek Naghma Suna Hai in PDF.