Tu Mila Tha Aur Mere Haal Par Roya Bhi Tha

tu mila tha aur mere haal par roya bhi tha

mere sine mein kabhi ek iztirab aisa bhi tha

jis tarah dil aashna tha shahr ke aadab se

kuchh usi andaz se shaista-e-sahra bhi tha

zindagi tanha na thi ai ishq teri rah mein

dhup thi sahra tha aur ek mehrban saya bhi tha

ishq ke sahra-nashinon se mulaqaten bhi thin

husn ke shahr-e-nigaran mein bahut charcha bhi tha

hijr ke shab-zinda-daron se shanasai bhi thi

wasl ki lazzat mein gum logon se ek nata bhi tha

har fasurda aankh se manus thi apni nazar

dukh bhare sinon se ham-rishta mera sina bhi tha

thak bhi jate the agar sahra-nawardi se to kya

muttasil sahra ke ek wajd-afrin dariya bhi tha

(1194) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Mila Tha Aur Mere Haal Par Roya Bhi Tha In English By Famous Poet Athar Nafees. Tu Mila Tha Aur Mere Haal Par Roya Bhi Tha is written by Athar Nafees. Read famous Poem Tu Mila Tha Aur Mere Haal Par Roya Bhi Tha for youth and Student by Athar Nafees. Free Download Tu Mila Tha Aur Mere Haal Par Roya Bhi Tha in PDF.