Main Tujhe Bhulna Chahun Bhi To Na-mumkin Hai

main tujhe bhulna chahun bhi to na-mumkin hai

tu meri pahli mohabbat hai mera mohsin hai

main use subh na jaanun jo tere sang nahin

main use sham na manun ki jo tere bin hai

kaisa manzar hai tere hijr ke pas-e-manzar ka

reg-e-sahra hai rawan aur hawa sakin hai

teri aankhon se tere hathon se lagta to nahin

mere ahbab ye kahte hain ki to kamsin hai

abhi kuchh der mein ho jaega aangan jal-thal

abhi aaghaz hai barish ka abhi kin-min hai

ain mumkin hai ki kal waqt faqat mera ho

aaj muTThi mein ye aaya hua pahla din hai

aaj ka din to bahut KHair se guzra 'nasik'

kal ki kyun fikr karun kal ka KHuda zamin hai

(2160) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Tujhe Bhulna Chahun Bhi To Na-mumkin Hai In English By Famous Poet Athar Nasik. Main Tujhe Bhulna Chahun Bhi To Na-mumkin Hai is written by Athar Nasik. Read famous Poem Main Tujhe Bhulna Chahun Bhi To Na-mumkin Hai for youth and Student by Athar Nasik. Free Download Main Tujhe Bhulna Chahun Bhi To Na-mumkin Hai in PDF.