Safar Bhi Jabr Hai Na-chaar Karna PaDta Hai

safar bhi jabr hai na-chaar karna paDta hai

adu ko qafila-salar karna paDta hai

gale mein Dalni paDti hain dhajjiyan apni

aur apni dhul ko dastar karna paDta hai

banana paDta hai sochon mein ek mahal aur phir

KHud apne hath se mismar karna paDta hai

na-jaane kaun si majburiyan hain jin ke liye

KHud apni zat se inkar karna paDta hai

koi bhi masala phir masala nahin rahta

zara zamir ko bedar karna paDta hai

banana paDta hai apne badan ko chhat apni

aur apne sae ko diwar karna paDta hai

hamari gardanen mashrut hain so in ke liye

saron ko KHam sar-e-darbar karna paDta hai

(767) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Bhi Jabr Hai Na-chaar Karna PaDta Hai In English By Famous Poet Athar Nasik. Safar Bhi Jabr Hai Na-chaar Karna PaDta Hai is written by Athar Nasik. Read famous Poem Safar Bhi Jabr Hai Na-chaar Karna PaDta Hai for youth and Student by Athar Nasik. Free Download Safar Bhi Jabr Hai Na-chaar Karna PaDta Hai in PDF.