Ek Wo Hi ShaKHs Mujhko Ab Gawara Bhi Nahin

ek wo hi shaKHs mujh ko ab gawara bhi nahin

jabr ye us ke siwa apna guzara bhi nahin

shakl-e-hijrat rang lain aaKHirash sab koshishen

hum agar lauTe nahin us ne pukara bhi nahin

jis pe tum KHamosh ho bas ek zara si baat thi

baat bhi aisi ki jis mein kuchh KHasara bhi nahin

hain ajab dariya mein hum jo darmiyan se KHushk hai

aur ajab to ye kinare par kinara bhi nahin

fazl ek bas be-hisi aur shaghl ek bas KHamushi

yani koi zindagi ka istiara bhi nahin

aa ke mere ghar ka 'atif' ye tamasha dekhiye

mere dar-diwar ko chhat ka sahaara bhi nahin

bas bhi kar 'atif' ke teri rahbari se baz aae

ghaar-e-shab mein subh ka koi sitara bhi nahin

(673) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Wo Hi ShaKHs Mujhko Ab Gawara Bhi Nahin In English By Famous Poet Atif Khan. Ek Wo Hi ShaKHs Mujhko Ab Gawara Bhi Nahin is written by Atif Khan. Read famous Poem Ek Wo Hi ShaKHs Mujhko Ab Gawara Bhi Nahin for youth and Student by Atif Khan. Free Download Ek Wo Hi ShaKHs Mujhko Ab Gawara Bhi Nahin in PDF.