Duniya Se Hue BaiThe Ho Ru-posh Ai Jaana

duniya se hue baiThe ho ru-posh ai jaana

jalwa bhi sar-e-am hai pur-josh ai jaana

din dasht mein achchhe se guzar jata hai aksar

jab aata hai yaad aalam-e-aghosh ai jaana

ye log shab-e-hijr bilakhte the jo behad

mahshar se guzar aae hai KHamosh ai jaana

kal raat to tum bhi the hamein yaad ba-tartib

aaj uTThe hain KHud se hi faramosh ai jaana

chhilte the badan jin ke hawaon se wahi gul

bulbul ke hain sab qatl pe KHamosh ai jaana

kanTon se bhare hain dar-o-diwar-o-dariche

itne ki saba bhi hai lahu-posh ai jaana

(660) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Se Hue BaiThe Ho Ru-posh Ai Jaana In English By Famous Poet Atif Khan. Duniya Se Hue BaiThe Ho Ru-posh Ai Jaana is written by Atif Khan. Read famous Poem Duniya Se Hue BaiThe Ho Ru-posh Ai Jaana for youth and Student by Atif Khan. Free Download Duniya Se Hue BaiThe Ho Ru-posh Ai Jaana in PDF.