KHwabon Ki Kirchiyan Meri MuTThi Mein Bhar Na Jae

KHwabon ki kirchiyan meri muTThi mein bhar na jae

aainda lamha ab ke bhi yunhi guzar na jae

rassi laTak rahi hai gale ko na bhench le

KHanjar chamak raha hai badan mein utar na jae

munh phaDti hain ghar ki daraDen idhar udhar

ek qahqaha ki jaise faza mein bikhar na jae

kyun us ke sath hi na raha jae chand roz

jo aadmi ki raat mein bhi apne ghar na jae

kya jaane baat kya hai ki rukta nahin koi

kab se pukarta hun ki koi udhar na jae

kaise phir apne aap ko zinda kahunga main

ek aur shaKHs mujh mein hai shamil wo mar na jae

jis ko ki urf-e-am mein kahte hain zindagi

ye nashsha apne waqt se pahle utar na jae

(584) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwabon Ki Kirchiyan Meri MuTThi Mein Bhar Na Jae In English By Famous Poet Atiiqullah. KHwabon Ki Kirchiyan Meri MuTThi Mein Bhar Na Jae is written by Atiiqullah. Read famous Poem KHwabon Ki Kirchiyan Meri MuTThi Mein Bhar Na Jae for youth and Student by Atiiqullah. Free Download KHwabon Ki Kirchiyan Meri MuTThi Mein Bhar Na Jae in PDF.