Kisa-e-darwesh Mein Jo Bhi Hai Zar Utna Hi Hai

kisa-e-darwesh mein jo bhi hai zar utna hi hai

aur dekha jae to mujh ko KHatar utna hi hai

panw rakhne ke liye koi jagah to chahiye

shahr ke is bab mein mera guzar utna hi hai

main jahan pahuncha nahin aise bhi virane bata

dost apna rishta-e-diwar-o-dar utna hi hai

ek musht-e-KHak ye aur wo hawa-e-tund-o-tez

aur tera ehsan meri zat par utna hi hai

is gali se us gali tak dauDta rahta hun main

raat utni hi mayassar hai safar utna hi hai

(599) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisa-e-darwesh Mein Jo Bhi Hai Zar Utna Hi Hai In English By Famous Poet Atiiqullah. Kisa-e-darwesh Mein Jo Bhi Hai Zar Utna Hi Hai is written by Atiiqullah. Read famous Poem Kisa-e-darwesh Mein Jo Bhi Hai Zar Utna Hi Hai for youth and Student by Atiiqullah. Free Download Kisa-e-darwesh Mein Jo Bhi Hai Zar Utna Hi Hai in PDF.