Wo Mere Nale Ka Shor Hi Tha Shab-e-siyah Ki Nihayaton Mein

wo mere nale ka shor hi tha shab-e-siyah ki nihayaton mein

main ek zarra inayaton par main ek gardish kasafaton mein

giraft aur us ki kar raha hun jo aab hai in basaraton ki

kamand aur us pe phenkta hun jo tah-e-nashin hai samaaton mein

mere liye shahr-e-kaj mein rakkha hi kya hai jo apne gham ganwaun

wo ek daman bahut hai mujh ko sukut-afza faraghaton mein

main ek shab kitni raaten jaga wo mah bite ki sal guzre

pahaD sa waqt kaTta hun shumar karta hun saaton mein

tere falak hi se TuTne wali raushni ke hain aks sare

kahin kahin jo chamak rahe hain huruf meri ibaraton mein

wo bojh sar par uTha rakha hai ki jism o jaan tak hain chur jin se

pachas barson ki zillaten jo hamein mili thin wirasaton mein

(591) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Mere Nale Ka Shor Hi Tha Shab-e-siyah Ki Nihayaton Mein In English By Famous Poet Atiiqullah. Wo Mere Nale Ka Shor Hi Tha Shab-e-siyah Ki Nihayaton Mein is written by Atiiqullah. Read famous Poem Wo Mere Nale Ka Shor Hi Tha Shab-e-siyah Ki Nihayaton Mein for youth and Student by Atiiqullah. Free Download Wo Mere Nale Ka Shor Hi Tha Shab-e-siyah Ki Nihayaton Mein in PDF.